Sunday, 4 August 2013

Har khwab k piche............

Har Khwab ke piche ek haqikat hoti hai,

na chahte hue bhi ye kismat mujhse door hoti hai...

ho sake to mujhe maaf karna ye dost mere..

me jo ho na saka sang tere,

majboor tha jo sath tera choda maine,

na chahte hue bhi muh ampa mooda maine,

khush rahe tu hamesha yahi dua hai meri.

bus yaado me zinda rakhna yahi tamanna hai meri..............................

Ruuthe hue Khwabo ko.................................................

Ruuthe hue khwabo ko manana nahi aata,

ab mujhe jeena ka koi bahana nahi aata,

jab se gai tum chod k mujhe ,,,

Ab is dil ko Behlana  nahi aata....

tumse hi tha mera mera sab kuch is zindgi me,

jab tum hi nahi to kya karu is zindgi me,

sochta hu ud jau kahi in asmano me,

kahi tum mil jao mujhe kisi aasyane me................................................................. 

Saturday, 3 August 2013

Maaf Karna Mujhe...............................




Maaf karna mujhe jo maine tera sath na diya,

tere sawalo ka maine kabhi jawaab na diya,


uthte the kai tofaan is dil me kabi,


un toffano ko kinaro se milne ka maine kabhi bahana na

 diya...............

Likhte jo kitab...........



Likhte the jo kitab wo kabi pure na hui,

kehna chahte the jo tumse baat wo kabi puri na hui,


tarasti rahi ye annke bus ek dedaar ko tere,


yahi bus ek khawaish jo meri kabi meri puri na hui.............

Itni takleefo ke baad........

Itni takleefo ke baad mujhe ab kuch yaad nahi aata,

sote hai bus ab hum koi khwab ab nahi aata,


jise sochte the hum mukkam apna,


bus chalte rahe yaha par wo mukaam nai aata,


kaha jay ab kuch samajh nahi aata,


jo pite the jam usme ab maza nahi aata,


ji rahe hai zindgi apni bus yuhi,


bus maut k farmaan ka intzaar hai ab to,


par kambakt wo bhi jo jald nai aata....................

Kya karenge hum jeeke yaha

kya karege hum jeeke yaha,

ruh par apni daag bhut hai.


jo nahi kiye jurm is sask ne kabhi,


unki saza katne is sir pe ilzaam bahut hai.


yu to samajh na saka mujhe koi bhi yaha,


ki is dil me panapte armaan bahut hai,


chala na sake jo meri arzu ki kasti ko kabhi,


aise rehnuma is kafile me bahut hai................

Wo To aa Jate............

wo to aa jate hai ank me anshu mere,

warna kabhi rote nahi hai hum,


wo to pii lete hai jaam kabi duk me,


warna pite nahi hai hum,


seene par jasm hai itne ,


phr bhi je lete hai hum 


nahi baki koi armaa is dil pe


ab chahe kinte bhi ho gum is zindgi me 


hanske sabko pi lete hai hum.....................